Hazrat Ali (RA) ki Khilafat aur Jange Jamal aur Jange Siffin aur Sahaba ka martabaঃ Amirul Momenin Hazrat Ali (RA) ki khilafat bhee shura muhazerin wa Ansaar ke Marzi se payi. Jaise ke Hazrat ibne Bat-ha (RA) Hazrat Ali (RA) ki Bete (Sahebjada) Hazrat Mohammad bin Hanafiya (RA) se Rewayat karte he ke me Hazrat Ali (RA) ke pass tha Jab Hazrat Usman (RA) Mahsoor the Dare Asha Ek Admi Ap ke pass aker kehta he Aysa Lagta he ke Ameerul Momenin ko Abhee Qatl ker diya jayega ye sunte he Hazrat Ali (RA) uth ler Khade hua aur Jab uthe to me ne unki Kamar ko Pakar Liya. Kew ki Mujhe ye khauf tha ke mere Walid Hazrat Ali (RA) bhee na Mar Jaye. Phir Hazrat Ali (RA) ne Kaha Mujhe chordo. Farmate he phir Hazrat Ali (RA) Hazrat Usman (RA) ke ghar Pohnche to Usman (RA) Qatal kiye
Ja chuke the. Bina Khara Ap Ghar wapis Agaye aur Darwaje ki kundli Laga ker baith gaye. Log Apke pas Aye Darwajah khat khata ker Ander ghus Aye. Unhone Kaha ke Usman (RA) to Qatal ker diye gaye he, Aur Logo per Khalifa ka hona intehayi Jarurat he. Aur hum Apse jyadah kisi aur ko haq dar khilafat nahi dekhte. Hazrat Ali (RA) ne Farmaya Mujhe Khalifa Banane ka iradah tark ker do. Me tumhare Liye banisbat Ameer ke Wajir he behtar hu. Tum kisi aur ko Khalifa Mukarrar karlo. Logo ne kaha Allah ki Kasam hum Apse jyadah kisi aur ko haqdar khilafat nahia samajhte he. Phir Hazrat Ali (RA) ne kaha ke ager tumhara is Qadar israr he to phir meri bayat Chupchup ker is terha ghar me nahi hogi. Balke me Masjide Nabebi me Jaunga aur jisko meri bayat karni ho wo Masjide Nabebi me kare. Akhir kar Ap masjid me Tashrif Le Gaye aur Logo ne Ap ki bayat karli phir ap marte dumtak Sacha aur Barhaq imam Rahe. Al-Bata Khwareji Apki khilafat ke munker he. Allah unhe Hedayat kare. Huzoor Gause Ajam Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani (RA) apni kitab Guniyatut Talebin me imam Ahmad bin humbal (RA) ki Rewayat Late he ke Wo Farmate he: Hazrat Talha, Hazrat Jubair, Hazrat Ayesha aur Hazrat Ameer e muawiya (RA) se Hazrat Ali (RA) ki Larayi (Jange Jamal aur jange Siffin) aur bahmi Nafrat wa Adawat ke Mutalik hume kuch bhee kehne se parhej aur Khamosi ikhtiyar karna chahiye. Kewki Allah Ta'ala Qayamat ke din unki bahmi bugz, wa Adawat Rafa Farma denge. Jaisa ke irshade bari Ta'ala he: Hum unke Dilo ka kina khatam kar denge, aur woh bhai bhai ho jayenge aur Amne Samne takhto per baithe honge.(Al-Hijr: 47)Hazrat Ali (RA) unse Jang karne me haq per the. Kew ki Ap barhaq khalifa the. Apki khilafat per tamam Ahle hal wa sahaba Ekram ka itefak tha phir jo bhee unki khilafat se Alag hua aur unke mukable me seena tana ker ke khara hua to wo Bagi hua. Aur imam ki ita'at se kharij hua. Lehaja us se Jang (Larayi) karna Jayez hoga. Dusri Taraf se Hazrat Ameer e Muawiya (RA), Hazrat Ayesha, Hazrat Talha jubair (RA) ne apse isliye Jang ki ke ye Sacha Shahid khalifa Hazrat Usman (RA) ka Bagiose kisas badla Lena Chahte the. Jinko Jalimo ne Shahid kiya tha aur Qatilane Usman (RA) Hazrat Ali (RA) ke Lashker me Maujud the. isliye her growh (Dul) ke pass Jang karne ki Dalil thi. Lehaja hume is Mauju per guftugu se kinarah kashi Karni chahiye. Aur us saare mamle ko Allah ke Sapord kar dena chahiye. Kewki Wahi Ahkamul hakemin aur Sabse behtar Faisla karne wala he. Hume apna aybo aur Kabirah Gunaho per Gawr karte hua apne Jurm per sadik dil se ma'afi mangni aur tauba karni chahiye.
(Majid Tafsil kitab Tarikh me Mulhaja farmaye)
Huzoor Gause Ajam (RA) Farmate he ke Ahle Sunnat ka Muttafik faisla he ki Sahaba ekram ki bahmi iktilafat bahes wa mubahisha na kiya jaye, unki burayiyo se jubane rok Lee jaye. Unke fazail wa mohsin izhar kiya jaye. Hadees e Nabewi ( صلى الله عليه وسلم) heঃ Jab mere Sahaba ka Jikar Kiya jaye to unke khilaf tum apni Jubane band rakho. Aur ek Rewayat ke Lafz he: Mere Sahaba ke Bahmi ikhtilafat se kinara kashti ikhtiyar karo, ager tum mese koyi shaks Wuhud pahar ke barabar Sona khairat kare to mere sahaba ke Ek hissa balke adhe hissa Sawab ke barabar bhee Nahi pohoch Sakta. Hazrate Anas ibne malik (RA) Hadees e Nabewi ( صلى الله عليه وسلم) Rewayat karte he: Uske Liye khus khabri he Jisne mujhe dekha ya mere Sahaba ko dekha. Nabi karim ( صلى الله عليه وسلم) irshad Farmaya: Mere Sahaba ko Galiya na do, Jisne ye jurm kiya usper Allah ki Lanat. Ap ( صلى الله عليه وسلم) Farmaya: Allah Ta'ala ne mujhe ikhtiyar Farmaya mere Liye Sahaba ko ikhtiyar Farmaya, Unhe mera Amadan banaya, aur unme meri Rashtadari Qayem ki, Akhri Jamane me Ayselog Paida honge jo unme Nuks Nikalenge, Kan khol ker Sunlo Ayse Logo se Shadi biyah na karna, Unke sath milker Namaj na padhna, Unki Namaje Janaza na padhna, Unper Lanat bhejna bhee durust hai. Hazrat Jaber (RA) hadees e Nabewi ( صلى الله عليه وسلم) Rewayat karte he: Darakht ke Niche Bayat karne Wale koyi bhee Sahaba Jahannam me Nahi Jayenge. Darakht ke Niche se Murad he Hudaybiya Darakht ke Niche Ankarib 1400 Sahaba the Jo Apki hato per Bayat ki thi. Hazrat Abu Huraira (RA) se Rewayat he ke Nabi Karim ( صلى الله عليه وسلم) ne Farmaya: Allah Ta'ala ne Ahle badar per Jhaka aur Farmaya Ay Badar walo tum jo chaho Amal karo Maine tumko Baksh diya. Hazrat ibne Umar (RA) Hadees e Nabebi ( صلى الله عليه وسلم) irshad karte he: Mere Sahaba Sitaro ki tarha he Tum jiska bhee Qawl wa Farman ikhtiyar karoge hedayat paoge.(Bukhari Sharif). Sufiyan bin Ayniya Farmate he ke jo Shaks Sahaba ki Shan me Tana wa Tashnia karta he wo Nafs Parasat he.(Yani Nafs ka Pujari).
কোন মন্তব্য নেই:
একটি মন্তব্য পোস্ট করুন