বুধবার, ৭ ডিসেম্বর, ২০২২

Hazrat Noorul Aen Ki Shadi, Aulad Aur Sajjadanashin Janashine Makhdoom Ashraf

 


Jab Syed Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Syed Abdur Razzaq Noorul Ain (R.A) ki Zahir o Batini Tarbiyat farma chuke aur unhain uloom o funoon se Arasta farma diya to apko unki Shadi Ki fikr huwi chunanche Aapne Hindustan ke Sadaat ke Gharano me Unke Liye talaash shuro ki aur un khanwadon kee Nasb ki Tahqeeq bhi aap ke pas pahle se hi Sadaat ke Shajre the kyunki Aap ne Aek kitab "Ashraful Ansaab" ke Naam se Tahreer ki thi. Jis me Hindustan ke Rahne Wale tamam Sadaat ke Shajron ki tahqeeq ki thi isliye aapko dushwari nahi huwi aur Aap ne Aek Sahihun Nasab Syed Gharane me Noorul

Aen ki Shadi kar di. Syed Abdur Razzaque Noorul Aen Ke Panch Sahibzade huwe. Unke Naam Yeh Hain:

1. Hazrat Syed Shamshuddin,


2. Hazrat Syed Hasan,


3. Hazrat Syed Hussain,


4. Hazrat Syed Farid,


5. Hazrat Syed Ahmed (Radiyallahu Anhum)."


Yeh Panchon Sahibzade ilm o Fazl aur Taqwa o Parhezgaari me Apni Misal Aap the kyuki inki Tarbiyat Do Azeem Hastiyon yani Syed Ashraf Jahangir Simnani aur Syed NoorulAen ki Zere Nigrani me huwi thi. Jab tarbiyat karne wale aese hoon to phir tarbiyat pane walo 

ke Maqaam ka Andaza koun kar sakta hai.


Jis Waqt Hazrat Syedna Makhdoom Ashraf (Radiyallahu Anhu) Ne "NoorulAen ko Apna Sajjaadanashin Janashin Banaaya To Aapse Ye Bhi Farmaya ki Apne Farzando Ko Bhi Khilaafat Va Sajjadagi Se Sarfaraz Karna."


Hazrat Syed Shah Hasan (Radiyallahu Anhu) Ko Hazrat Syedna Abdurrazzaq "Noorul Ain"(Radiyallahu Anhu) Ne "Apna 

Sajjadanashin Janashin Banaaya Aur Aaj Bhi Aapke Aulad o Amjaad Me Aastana-E-Aaliya Ashrafiya Hasaniya Sarkar E Kala'n Ki Sajjadagi Qaayam Hai."


Note: 1) Hazrat Noorul Ain ki Bade Sahebzade Hazrat Syed Shamshuddin 18 Saal Ke Umar me he Wafat pa chuke the. 


2) Hazrat Syed Hasan (R.A) Jinse Kichaucha wale he. Aapke Aulad o Amjaad Me Aastana-E-Aaliya Ashrafiya Hasaniya Sarkar E Kala'n Ki Sajjadagi Janashine Makhdoom Ashraf Qaayam Hai."


3) Hazrat Syed Hussain (R.A) Se Bhaskari Sharif Mirani wale hai.


4) Aur Hazrat Syed Farid (R.A) Ki Khandan Kuch arse ke Baad khatam ho chuki thi.


5) Aur Hazrat Noorul Aen ki Sabse Chote Sahibzade Hazrat Syed Ahmed (R.A) he Jinse Jais Sharif wale he Astana-E-Aaliya Ahmadiya Ashrafiya he.


#Ref: Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani, Lataaif-E-Ashrafi.


কোন মন্তব্য নেই:

একটি মন্তব্য পোস্ট করুন

Featured post

Hazrat Noorul Aen Ki Shadi, Aulad Aur Sajjadanashin Janashine Makhdoom Ashraf

  Jab Syed Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Syed Abdur Razzaq Noorul Ain (R.A) ki Zahir o Batini Tarbiyat farma chuke aur unhain uloom o funoon...