Khilafat-E-Rashidahঃ- Khulafa E Rashedin ki Khilafat Tamam sahaba ke ikhtiyar, Marji se thi. Khulafa Rashedin me se her her Ek Khalifa ko apne apne Jamane me Dusre Sahaba per marji aur ikhtiyar hasil thi. Yani Muhajerin wa Ansaar ke faisle se khalifa bane. Khilafat Nahi Talwaar ke jorse, Nahi jabardasti se aur Nahi kisi ne Apne se Afzal se Khilafat Chunhi. Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) Ki Khilafat Muhajerin wa Ansaar ke Marzi aur unke Faisle se payi thi. Kew ki Jab Nabi ( صلى الله عليه وسلم) Wafat pa Gaye to Ansar ke Sardar ne khare ho ker Kaha ke
Ek Ameer hum mese ho, Aur Ek Ameer Muhajerin mese bane. Per Hazrat Umar Faruq (RA) ne Khade hoker kaha: Ay Ansaar kya tumhe ilm nahi ke Nabi ( صلى الله عليه وسلم) ne Logo ki imamat ke Liye Abu Bakar Siddiq (RA) ko Chuna tha. Ansaar ne kaha ha thik hai. Phir Apne Farmaya Tum mese kisi ka Nafs khusi se ye baat Gawarah ker Lega ke woh Abu Bakar Siddiq (RA) ke Age imam Banhe? To unhone kaha Allah ki Panah jo hum Abu Bakar Siddiq (RA) ke Age imam Bane. Aur Ek Rewayat ke Lafz he ke Hazrat Umar (RA) ne Farmaya: Kya Tum mese kisi ko Gawarah hoga ke Abu Bakar Siddiq (RA) ko Unke us Maqam se hata de, Jis Maqam per Ap ko Rasulallah ( صلى الله عليه وسلم) Mutayin farma gaye the.To Sabne kaha ke hum me se koyi bhee ye baat Gawarah karne wala Nahi he. Hum Allah se magfirat ki dua mangte he. Akhir ker tamam Ansaar wa Muhajerin ne apne Marji se Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) ki Bayat ker Liya. Jinme Hazrat Moula Ali (RA) aur Hazrat Jubair (RA) bhee Shamil the. Nabi ( صلى الله عليه وسلم) ke bad Shiyasi Anjamat ke Liye Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) Khalifa banaya gaya. Aur uski wajah ye thi ke Ap (صلى الله عليه وسلم) apni Jindagi me he Abu Bakar Siddiq (RA) ki khilafat wa Janashini ki Sanad Jahir ker Chuke the. Ap ( صلى الله عليه وسلم) ne bemari (Marze-Al-Maut) ki halat me Hazrat Abu Bakar (RA) ko Apni Jagah Namajo Ka imam Mukerrar Farma diya.(Bukhari 467) Aur islami hukumat me Namaj ki imamat aur Mulk ki imamat Fardo Ahad ki hat me hoti he, isi tarha imam Bukhari ne bab-Al-Astakhlaf intekhabe khilafat me Ek hadees Jikr ki he ke Ek Awrat Ap ( صلى الله عليه وسلم) se Masla puchne ayi, Kaha ager me dubarah Aau aur Ap ( صلى الله عليه وسلم) Bahayat (Jindah) na hua to kiske pass Jaunga. Ap ( صلى الله عليه وسلم) ne Faramaya Abu Bakar (RA) ke pass.(Bukhari 6220).
is Rewayat se bhee yahi Malum hua ke Nabi ( صلى الله عليه وسلم) ke bad Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) Khalifa honge. Ek Sahih Rewayat me ye bhee he ke Jab Logo ne Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) ki bayat karli to apne 3 din tak Khade hoker Logo se Kehte Rahe ke ager tum mese koyi meri bayat na pasand kerta he to me ise chodne ko tayyar hu. isper sabse pehle Hazrat Ali (RA) ne khade hoker Faramaya: hum apki bayat kabhi fasikh na karenge aur na karwayenge. Apko to Allah ke Rasool ( صلى الله عليه وسلم) ne Age badah diya he. Phir kaun apko piche hatane ki jarurat ker sakta he. Aur Riwayato se ye bhee milta he Hazrat Ali (RA) he Hazrat Abu Bakar (RA) ki khilafat per Jor hami the aur sab Sahaba se jyadah Hazrat Ali (RA) Apki Khilafat per khus aur Raji the. Ek Rewayat me he ke Jange Jamal ke bad Abdullah bin Uku (RA) ne Hazrat Ali (RA) se aker pucha kya khilafat ke mutalik Rasulallah ( صلى الله عليه وسلم) ne apse koyi Ahad kiya tha? Hazrate ALi (RA) ne Faramaya Humne apne Dini Malumat me Tadbeer kiya to dekha ke Namaj islam ka Baju he. Lehaja hum ne apni dunya ke Liye use pasand ker Liya jise Allah aur uske Rasool ne humare din (Namaj) ke Liye pasand kiya tha. Aur Abu Bakar Siddiq (RA) ko humne Khalifa Muntakhib ker Liya. Kew ki Nabi ( صلى الله عليه وسلم) ne Apne Marze Al-Maut me Hazrat Abu Bakar (RA) ko Namaj padhane ke Liye apna janashin mukarrar farma diya tha. Jaise ke Hazrat Billal (RA) her Namaj ke wakt aker Nabi ( صلى الله عليه وسلم) ko Namaj ki Khabar dete to Ap ( صلى الله عليه وسلم) Farmate ke Abu Bakar (RA) ko Hukum Pohncha do ke woh Namaj Padhaye.(Bukhari 467). Nabi Karim ( صلى الله عليه وسلم) 8 Rabiul Awwal Jumrat ke din Johar ke Namaj he Akhribar Jamat se Namaj parhayi fir Apki Tabyaat shadid Kharab ho chuki thi Lehaja ap Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) ko Namaj parhane ka hukum diya aur Usi din Asar ke Namaj se Leker 12 Rabiul Awwal Pir ke din yani Jumrat se Leker Sombar Fajar ke Namaj tak Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) ne 19 wakt ki Namaj Ki imamati ki.
Nabi Karim ( صلى الله عليه وسلم) apni Jindagi me Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) ke bareme istarha ki Bate kiya karte the jinse Sahaba Ekram per Jahir ho chuka tha ke Ap ( صلى الله عليه وسل) Ke bad Abu Bakar Siddiq (RA) he Khilafat ke haq dar he. ishe tarha Hazrat Umar (RA) Hazrat Usman (RA) aur Hazrat Moula Ali (RA) ke bareme Apki Guftugu se Maloom hota tha ke ye Log bhee Apne Apne Jamane me khilafat ke haqdar he. Hazrat ibne bat-ha (RA) Hazrat Ali (RA) se Rewayat karte he ke unhone Rasulallah ( صلى الله عليه وسلم) se pucha Ya Rasulallah! Apke bad hum kisko apna Ameer Banaye? Ap ( صلى الله عليه وسلم) ne Farmaya: Ager tum Abu Bakar (RA) ko Ameer banaoge to unhe Amanat darh, dunya se be Rugbat aur Akhirat se be Rugbat paoge. Ager Umar (RA) ko Ameer banaoge to unheko Ameen aur Allah ki Raha me kisi malamat karne wale ki malamat se parwah na karne wale paoge. Aur ager Ali (RA) ko Ameer Banaoge to unhe Rahnuma aur hedayat yafta paoge. isiliye Musalmano ne Khilafate Abu Bakar (RA) per Raji ho gaye. imam Ahmad bin humbal (RA) Farmate he ke Khilafate Abu Bakar Siddiq (RA) ibaratannas Aur isharatannas se Sabit he. iski Dalil Hazrat Abu huraira (RA) ki hadees he ke Nabi Karim ( صلى الله عليه وسلم) ne irshad Farmaya: Maine Shabe Miraj me Allah ke pass darkhast ki ke Mere bad Ali (RA) ko khalifa Bana diya jaye. Farishto ne kaha Ya Mohammad ( صلى الله عليه وسلم)! Allah Ta'ala jo chahta he karta he Ap ke bad Khalifa Abu Bakar Siddiq (RA) honge. Hazrat Abdullah bin Umar (RA) ki Rewayat me he: Nabi karim ( صلى الله عليه وسلم) ne Farmaya tha mere bad Khalifa Abu Bakar (RA) honge magar woh Kuch Arsa he jindah Rahenge.
Mujahid (RA) Farmate he ke Mujhe Hazrat Moula Ali (RA) ne bataya ke Nabi karim ( صلى الله عليه وسلم) ne Dunya se Ruksat hone se pehle Mujhse Ahad Kiya ke mere bad Khalifa Hazrat Abu Bakar (RA) honge, phir Hazrat Umar (RA), phir Hazrat Usman (RA) phir Hazrat Ali (RA) unke bad honge.
[Hawala: Majmua Al-Jawaid, Al-Alal Al-Matne hayta, Huzoor Gause Ajam Hazrat Shayekh Abdul Qadir Jilani (RA) ki Likhi huwi Mashhur kitab Guniyatut Talebin]
কোন মন্তব্য নেই:
একটি মন্তব্য পোস্ট করুন