সোমবার, ৩১ আগস্ট, ২০২০

Sahaba Ekram ki Fazilat

🌷Ummate Mohammadi Ki Fazilatঃ🌷 Ahle Sunnat Ka Aqidah he ke Mohammad (صلى الله عليه وسلم) ki Ummat Tamam Qawme Alam me se behtarin Ummat he. Aur unme bhee sabse Afzal woh Sahaba he jinhone Ap (صلى الله عليه وسلم) ko dekha Ap per iman Laye Ap ki Tasdeek ki, Bayat ki, Farma bardari ki, Ap ke sath milket jihad kiya, Ap per Apna maal wa jaan Qurban kiya, Apki izzat aur Madad ki, Phir Sahaba me se bhee Sabse Afzal Hudaybiya wale Sahaba he, Jinhone Apse Bayat ki, Aur Takriban 1400 the.
Phir Unme Afzal

Badri Sahaba he, Jo 313 the. Yahi Taidad Ashabe Talut ki thi, unme Afzal war Khijran ke chali Mard he Jo Hazrat Umar bin khattab (RA) ke sath Musharraf ba islam hua. Aur Unme Afzal Ashraye Mubasharah he Jin 10 Sahaba ko Nabi (صلى الله عليه وسلم) ne Jannat ki Khuskhabri Sunayi Aur woh heঃ
1)Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA)
2)Hazrat Umar Faruq (RA)
3)Hazrat Usman jinnurayen (RA)
4)Hazrat Moula ALi Sher-E-Khuda (RA)
5)Hazrat Talha (RA)
6)Hazrat Jubair (RA)
7)Hazrat Abdur Rahman ibne Auf (RA)
8)Hazrat Sa'ad ibne Abi wakkas (RA)
9)Hazrat Sayid (RA)
10)Hazrat Abu Warda (RA)
Aur Allah ne Qurane Karim me is tarha irshad Farmaya he: Fathe Makka se pehle Allah ki Rah me Sadqa karne wale aur Jihad Karne wale, Fathe Makka ke bad Jihad aur Sadqa Karne Walo ke barabar nahi, Fathe Makka ke bad Jihad aur Sadqa karne walo ki banisbat pehle Log Afzal Darzat wale he, Aur Allah ne her Ek se Jannat Ka Wada kiya he.(Al-Hadid:10)
Aur unme Afzal Charo Khulafaye Rashedin he, Aur un charo me Afzal Hazrat Abu Bakar Siddiq (RA) he, Phir Hazrat Umar Faruq (RA), Phir Hazrat Usman jinnurayen (RA), Phir Hazrate Moula ALi Sher-E-Khuda (RA) he.
Jab Ap (صلى الله عليه وسلم) is Dunyaye Fani se Wafat ho Chuke to Apke bad 30 Saal tak in Charo Khulafa ke pass Khilafat Rahi. Hazrat Abu Bakar (RA) ki khilafat Takriban Sawa 2 Saal, Hazrat Umar (RA) ki 10 Saal, Hazrat Usman (RA) ki 12 Saal Aur Hazrat Ali (RA) ki 6 Saal he. Phir Khulafaye Rashedin Ke Bad Hazrat Ameer e Muawiya (RA) 9 Saal tak Muslim Samrajje ki Khalifa Rahe. Aur isse pehle Hazrat Umar Faruq (RA) Apko 20 Saal tak Mulke Shaam (Siriya) per Ameer banaye Rakhe.

[Hawala:Gause Ajam Hazrat Shyekh Abdul Qadir Jilani (RA) ki Likhi huwi Motawar Kitab Guniyatut Talebin]

কোন মন্তব্য নেই:

একটি মন্তব্য পোস্ট করুন

Featured post

Hazrat Noorul Aen Ki Shadi, Aulad Aur Sajjadanashin Janashine Makhdoom Ashraf

  Jab Syed Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Syed Abdur Razzaq Noorul Ain (R.A) ki Zahir o Batini Tarbiyat farma chuke aur unhain uloom o funoon...